Tuesday 25 June 2013

Honton Se Chua Kar Mong Phali Mashhooq Ko Mara Karte Hain

Mat pochiye fursat ki ghadiya hum kese guzara karte hain

honton se chua kar mongfali honton se chua kar mong phali

mashhooq ko mara karte hain maari thi jo humne jo mongfali

wo unke dear daddy ko lagi (kia hua phr)

chat pe bethe the leke mong fali ka thaila

agai samne khirki pe hamari laila humne socha k usko koi nishani de den

adkhile phool ko bharpoor jawani de den

guftugo ki nai tarqeeb nikali humne

leke ek mongfali us pe uchali humne is se pehle wo us mong fali ko lapke

us k daddy liye bandooq wahan aaa tapke....

hum chup gaye ja k parosan k ghusal khanay maaaaayyyy

(ab suniye gaaa)

maari thi jo humne mongphali wo unke dear daddy ko lagi

ab dekhiye unkayy daddy kiyaaa haal hamara karte hain

thi mongfali bhejay ka khalal hogai ghusal khane mai gazall

(ab ghusal khane mai kia gazal hui sunniye)

kay samne lal chari ho tu gazal hoti hai

zulf gaalon pe pari ho tu gazal hoti hai

face ko mor kar collage ki haseena koi

bach k line mai khari ho tu gazal hoti hai

30 tareekh ko picture k liye jab madam

ek dum zid pe ari hotu gazal hoti hai

do dilon ka katola jo nae bichne dete

khat aison ki khari hotu gazal hoti hai

raat din thaaat se hoti rahe income lekin

tax bharne ki ghari ho tu gazal hoti hai

tax bharne ki ghari ho tu gazal hoti hai

(or ye khas shair)

apne dulhe se koi shokhlaveli dulhan

apne dulhe se koi shokhlaveli dulhan

poray 10 saal bari ho tu gazal hoti hai

thi mongfali bhejay ka khalal hogai ghusal khane mai gazall

tu hum taaza gazal ko saabun k raiper pe utara karte hain

honton se chua kar mong phali mashhoq ko mara karte hain

aafat hai ghusal khane ki ghutan kab hoga najane unse milan

(ye jo allahd ji kehte hain)

latkay hain latkay hain latkay hain lat lat lat latkay hain ghusal khanay mai

parosan k kapre hum unko nihaara karte hain

honton se chua kar mong phali mashhoooooooq ko maraaaaaa karte hainnnnnnnn.....











3 comments: