Tuesday 25 June 2013

Honton Se Chua Kar Mong Phali Mashhooq Ko Mara Karte Hain

Mat pochiye fursat ki ghadiya hum kese guzara karte hain

honton se chua kar mongfali honton se chua kar mong phali

mashhooq ko mara karte hain maari thi jo humne jo mongfali

wo unke dear daddy ko lagi (kia hua phr)

chat pe bethe the leke mong fali ka thaila

agai samne khirki pe hamari laila humne socha k usko koi nishani de den

adkhile phool ko bharpoor jawani de den

guftugo ki nai tarqeeb nikali humne

leke ek mongfali us pe uchali humne is se pehle wo us mong fali ko lapke

us k daddy liye bandooq wahan aaa tapke....

hum chup gaye ja k parosan k ghusal khanay maaaaayyyy

(ab suniye gaaa)

maari thi jo humne mongphali wo unke dear daddy ko lagi

ab dekhiye unkayy daddy kiyaaa haal hamara karte hain

thi mongfali bhejay ka khalal hogai ghusal khane mai gazall

(ab ghusal khane mai kia gazal hui sunniye)

kay samne lal chari ho tu gazal hoti hai

zulf gaalon pe pari ho tu gazal hoti hai

face ko mor kar collage ki haseena koi

bach k line mai khari ho tu gazal hoti hai

30 tareekh ko picture k liye jab madam

ek dum zid pe ari hotu gazal hoti hai

do dilon ka katola jo nae bichne dete

khat aison ki khari hotu gazal hoti hai

raat din thaaat se hoti rahe income lekin

tax bharne ki ghari ho tu gazal hoti hai

tax bharne ki ghari ho tu gazal hoti hai

(or ye khas shair)

apne dulhe se koi shokhlaveli dulhan

apne dulhe se koi shokhlaveli dulhan

poray 10 saal bari ho tu gazal hoti hai

thi mongfali bhejay ka khalal hogai ghusal khane mai gazall

tu hum taaza gazal ko saabun k raiper pe utara karte hain

honton se chua kar mong phali mashhoq ko mara karte hain

aafat hai ghusal khane ki ghutan kab hoga najane unse milan

(ye jo allahd ji kehte hain)

latkay hain latkay hain latkay hain lat lat lat latkay hain ghusal khanay mai

parosan k kapre hum unko nihaara karte hain

honton se chua kar mong phali mashhoooooooq ko maraaaaaa karte hainnnnnnnn.....











Sunday 10 February 2013

Ek Aur Khayal Aaya

Unka Khayal aata he, ek aur khayal aaya.
 

Muddat hue yaar ka koe na haal na aaya, .
 

Unka Khayal aata he, ek aur khayal aaya.
 

Chahoge bhi toa mujko ab dhund na sakoge
 

Mazi ke kaad me mein khud ko sambhal aaye,
 

Unka Khayal aata he, ek aur khayal aaya.
 

Tasvir dekti hu, har roj mein tumhari,
 

Kya tum ko bhi, kabhi yu mera khayal aaya.
 

 Unka khayal aata he, ek aur khayal aaya,
 

Muddat hue yaar ka koe na haal na aaya.

Kuch hi din beete the abhi

….Kuch hi din beete the abhi….
aur mujhe laga, mile tujhse
zamana ho gaya�
aankh si thi lagi meri abhi
aur mujhe laga, milan phir hamara ho gaya�
Udi khushboo si thi hawa main abhi
aur mujhe laga, yahan phir se tera aana ho gaya� kaisi wo aahat si thi abhi aur mujhe laga, roshan phir
mera ashiyana ho
gaya�
Baitha tha yuhin chanv main abhi
aur mujhe laga, teri zulfon ka phir saya ho gaya�
Guman us ehsas ka aisa hai abhi aur mujhe laga, badan se lipat kar tera saya chala
gaya�
Bohot akela sa ho chala hoon abhi
aur mujhe laga, raftaar ye zamana ho gaya�
Khada hoon wahi jahan se shuru kiya tha humne
kabhi aur mujhe laga, bus� ab ye mera thikana ho gaya�
Tanhayi si ghir aayi hai abhi
aur mujhe laga, viraan ye phir se zamana ho gaya�
Saans atakne si thi chali abhi
aur mujhe laga, waqt ab hamara ho gaya�
Kuch hi din beete the abhi aur mujhe laga, mile tujhse zamana ho gaya


Aaj Betha Veran

Aj betha veran
me kuch soch rha tha 

Jise chaha muddat se
Use khoj rha tha
Udte parinde ki trh
Manjil ko panne ke liye
Usse mulakat krne ke liye
Uske pass aane ke liye
Tadaf rha tha
Dhundte dhundte mera sara
Groor deh gya
Aaj phir mai akela veran reh gya

Sochte sochte is rah par
Phauncha
Jise chaha wo ek soch ban
Kar reh gya
Galti par galti krte rhe
Use pane ke liye
dunia se ladte rhe aapna bnane
ke liye

Sapna hi bankar mera
Pyar reh gya
Aaj fir mai akela veran reh gya

Manga tha tujhe khuda se
Par tu na mil ski
Mere pyar bhare baag me
Koi kalli na khil ski
Dosto ne sath diya har pal
Tere liye rota smbhlta anurag
reh gya
Aaj kyu sb dur hai mujhse
Aesa ek imthiaan rh gya
Aaj fir mai akela veran rh gya

sb kuch hokar bhi aj kuch nhi
Hai
Tere khyal teri aarju is dil me
Hai
Teri milne ki aas me
Jee rha hu
Tujhse milna mera mera haq
Mera aahraz reh gya
Aaj fir mai akela veran reh gya�.:(


Guzre Lamho Ki Shayari

Sath mein guzre lamho ki yaad bahoot aayegi,
 

tanhai bhare pal mein haseen tasveer ubhar aayegi.

khyalon mein mere jazbaton ka sirf tufan hoga,
 

bichde jahan ki yaad bahoot dil ko tadpayegi.

un bichde yadon ke shehra mein bhatakte huye,
 

andherron mein ek ummid ki kiran dikh jayegi.

bich raah mein to himmat harna gunah hoga,
 

rakhenge manzil ki talash to zindagi samhal jayegi.

chalte chalte apne aap ek din�raaj�is raaj par,
 

manzil ek din jarur khud samne aayegi.


Yaadoan Main Rahoon

Mai yaadon mein rahoon aur fir na paun use,
 

magar ye ho nahin sakta ki use bhul jaun mein.

wo mere sheron ki tarah shamil ho ruh mein meri,
 

mai naummidi ke lamhein mein gungunaun use.

ye magrur meri chahat kabhi to dekhlaye,
 

bhulna chahe wo mujhe aur yaad aaun use.

tamam raat mai aankh me kat dun lekin,
 

magar subah tak apne khwab mein paun use.

zamana sauk sunta raha aksar “raaj” ko,
 

magar maine socha kash haal-e-dil sunaun use

Hum Chale

Tere dil ko tere dil se churane hum chale,
Teri ankho se ankhe lagane hum chale,
Dur ho kar bhi pass raho tum itna,
Ki teri yadon ko dil main chhupa ke hum chale