Sunday 10 February 2013

Yaadoan Main Rahoon

Mai yaadon mein rahoon aur fir na paun use,
 

magar ye ho nahin sakta ki use bhul jaun mein.

wo mere sheron ki tarah shamil ho ruh mein meri,
 

mai naummidi ke lamhein mein gungunaun use.

ye magrur meri chahat kabhi to dekhlaye,
 

bhulna chahe wo mujhe aur yaad aaun use.

tamam raat mai aankh me kat dun lekin,
 

magar subah tak apne khwab mein paun use.

zamana sauk sunta raha aksar “raaj” ko,
 

magar maine socha kash haal-e-dil sunaun use

No comments:

Post a Comment